Showing posts with label Hindi poem. Show all posts
Showing posts with label Hindi poem. Show all posts

Sunday, 14 June 2009

Najane Kaun



Badli.. badli si hai kyun ye fiza
Khafa.. khafa sa kyun hai ye mausam
Hone laga kya ab yahaan
Pyaar hi pyar tha jahaan

Khoon ka rang har jagah
Nafrat ki aag har dil mein
Ek duje se aisa bhi kya gila
Ladd ke kisi ko kabhi kya mila

Ye ladai shuru hui kyun
Khatam karta kyun nahi koi
Dard hota hai dekh kar ye sab
Bacha le iss desh ko ae mere rab

Khush hai ye sab dekhar Najane Kaun
Nafrat peda kar raha hai Najane kaun
Desh ko barbaad kar raha hai Najane Kaun.
Hum sab ko mita ne laga
Najane Kaun...

I can go on about this topic.But its always too heartbreaking & very very controversial.So i leave it here :)
All we can do is pray for peace.

Wednesday, 10 June 2009

Saaya

Door hogaye kab ke hum
Phir bhi tujhe mehsoos karte hai hum
Najane kahan chupe ho...
Phir bhi teri aahat mehsoos karte hai hum

Jaane kaisa khel hai ye
Na tum mere ho,
Na main tumhari
Phir bhi ...kuch hai hamara

Tera naam sunte hai..
Toh dil mein ek ahat si hoti hai
Tujhe najane kyun dhoondte hai
Dhoond kar phir bhool jaate hai

Teri chaukhat pe mila tha sirf dard
Paar ki thi tune bewafai ki har hadd
Toda iss qadar mera dil
Rehgaye tere dard ke nishaan

Har qadam teri raah mein dhoka paaya
Phir bhi najane kyun rehta hai mere sang
Tera hi Saaya.....

Monday, 8 June 2009

Teri Yaad



Teri yaad...aati hai humein
Har taraf dhoonte hai hum tumhein

Chup gaya ho door najane kahan
Nazrein meri jaaye na jahan

Seene mein chubti hai doori..
Tujh bin hoon main adhuri..

Palkon pe tere naam ke ashq chalak ne lage
Dard mein hum doobne lage..

Door humse hogaya hai koi..
Palkon ke peeche chupa hai koi..
Yaad aati hai subha shaam unki..
Tasveer ankhon mein basi hai Jinki...


Saturday, 6 June 2009

Zindagi


Zindagi se jab kabhi haath milane gaye
Woh humse rhoot gayi
Jab kabhi hum zindagi se khafa huey
Woh haat milane chali aayi...

Janu na main ye hota hai kyun
Khushi milke bichad ti hai kyun
Andheron ke saaye humse lipat te hai kyun ..
Hasi hamari humse door hoti hai kyun..
Apne dil leke dil tod te hai kyun
Wafe ke badle bewafai milti hai kyun
Dil liya tha mera jisne
Pyaar lutaya tha mujhpe jisne
Aaj wohi tanha raah pe chod gaya kyun


Thursday, 4 June 2009

Wafaa


Wafa karte rehna yunhi humse
be panaah pyar hai ae-sanam tumse
kehne se kahi nahi jaayegi dil ki baat
roshan hai mohabbat ke diye
magar tum bin na roshan hogi ye raat
laakh chahe zamana choote ye saath
an suni karlena unki baat
ek tu hi hai khushi meri
deewani hoon main toh teri
na chodna ye mohabbat ka fasana
banaye chahe log koi bhi bahana
tootne na dena tera yakeen
saans liye bina jee lenge hum
magar jo chod gaye tum...
bewafai kar jaayengi ye saansein
wafa karke apna lengi humein qabr ki baahein.
**********************************************************
Dedicated to my husband & Today on my b'day i just want to take this space up & say something to him-
Thank you sweetheart for all your love.It means everything to me & you know it.The biggest b'day gift for me is to have you with me each & every year.I love you so much !!All i need is you by my side forever...& every b'day will be special :) when i say i cant live without you i really mean it...Im incomplete without you !Thanks for putting up with me for this yr :P Your gifts are always lovely & thoughtful & i always get teary eyed when i see your personal message in the card,each & every word reflects love.Thank you ...Thank you so much for everything u done in this past yr,My life is truly worthwhile with you in it !
I can go on & on...but i'll leave it here :)

Love alway's

Wednesday, 3 June 2009

Doorie



Door hoke bhi door nahi hum,
dil ki viraaniyon mein base ho bas tum,
kahu bhi toh kaise kahu mere kya ho tum.
yun achanak kahan se kahan agaye ye hum,
tere bin kaate kaise ye pal,
ab toh aake meri inn tanha raahon pe mere sang chal.
basa liya hai tujhe apni har saans mein,
tu na ho toh chubti hai ye saansein bhi mujhe,

kaise kahu ab tujhe,hai tu kya mere liye,
judai ke aansoo ab kaise piye.
mohabbat ke meethe dard ye tune kaise diye.
aansoo mein chupe tum,
muskurahat mein chupe tum,
tujhe apna sab kuch ab.... maan chuke hum.
I LOVE YOU !
p.s I wrote this early last year before i got married when i was here in UK & my then fiance(Now hubby) was in India :) was missing him alot & at that point of time this was all i had to say to him !
pps. I know someone that is gonna read this will relate to it...Ms.R :D


Friday, 29 May 2009

Meri Khushi



Wafa karte rehna yunhi humse
be-panaah pyar hai ae-sanam tumse
kehne se kahi nahi jaayegi dil ki baat
Umr bhad ke liye thaama hai tera haath

roshan hai mohabbat ke diye
magar tum bin na roshan hogi ye raat
laakh chahe zamana choote ye saath
an-suni karlena unki baat

ek tu hi hai khusi meri,deewani hoon main toh teri
na chodna ye mohabbat ka fasana
banaye chahe log koi bhi bahana
tootne na dena tera yakeen

saans liye bina jee lenge hum
magar jo chod gaye tum
bewafai kar jaayengi ye saansein
wafa karke apna lengi humein qabr ki baahein.
P.S Dedicated to the love of my life.I wrote this quiet a long time back.
I love u soo much sweetheart...:)You are my true happiness.


Wednesday, 27 May 2009

Manzil


Khushi ka ehsaas phirse hone laga
Ghum peeche main chor ne laga
Sapno ki gali ...phirse mili...
Raahein hai nayi..
Manzilen hai wohi..

Roke agar koi toh rok ne de
Hum na rukenege kisi ke kehne se
Dekha hai dilse ek sapna
Bana ke rahenge har haal mein apna

Chalta jaa raha hu main 
Dard bhula chuka hu main 
Koi toh jaake kehde
Meri manzil ko ...
Laut aaraha hu main


Thursday, 21 May 2009

Khel

Socha tha woh pyar hai
Ab Jaana ke sirf khel hai
Duniya se kya shikwa kare
Tanha mehfil main hum hai khade

Yaad aane laga beeta hua kal
Zindagi badal gayi thi jab aaya woh pal
Jisne kaha hum unke liye hai sab kuch
Aaj rehgaye hum unke kuch nahi

Pyar ke waade kiye nahi humne
Na kabhi dil mein pyar jagaya
Dost banke saath deti gayi
Woh humpe pyar barsaate gaya

Door bhaagte gaye hum
Paas aata gaya woh
Dil pe qaboo khone lage hum
Na chahte huey uske hone lagey hum

Khogayi pyar ke khel mein main
Hasta gaya dil hi dil mein
Woh hamari nadaani pe
Samajh na saki sach ko main

Phoolon ki khoobsurti dekhti gayi
Najane kab kaante chub gaye
Khoon beh ne laga haathon se
Dard hone laga seene mein

Meethe bol se pyar ka khel khela usne
Zeher se bhada tha har ek shabd
Ye aaj jaana humne
wah ! Kya khel khela hai usne


Monday, 11 May 2009

Magar...



Na thi jinhe pyar ki qadar
usse hi, dil de bethe hum
Jiss diye ko hawa se bachaya
Uss diye ne hi ye haath jalaya

Na jaane jo wafa ko
Uss se hi, wafa hum kar bethe
Jiss phool ko khoobsurat kaha
Ussi ke kaante chubne lage

Na kehta hai jo kabhi sach
Uss ko, hum sach pe sach bayaan karte gaye
Jiss baarish main maza lena chaha
Ussi main hum aaj doob gaye

Jo na karna chahte they
Woh sab kargaye
Wafa ke badle.. Bewafai paate gaye
Khushi ke badle..Ghum utha te chale

Phirbi muskurate huey khushi dete gaye
Toote huey dil ko hum jod te gaye
Magar... kya kare jab aaj
Koi apna hi dil tod chala
Raah mein tanha chod chala
~~~~~~~~~ * ~~~~~~~~~



Related Posts Widget for Blogs by LinkWithin
 
template by suckmylolly.com flower brushes by gvalkyrie.deviantart.com