Sunday 24 October 2010

Khwab




Aaj bhi kahin se teri yaad aati hai
Dobara humein gumsum kar jaati hai...
Woh tera pyar se jhoot bolna
Woh meri nadaani se maan lena...

Barso baad bhi dard de jaati hai yaadein
Aage nikal chuke hum phir bhi..
Anjaan hoke peeche laut jaate hai
Yaadon mein kho jaate hai

Dil ka dard aankho se beh jaata hai
Jo bhi hua kyun hua...
Itna ghum maine kyun saha
Iss dil mein tu kyun raha.?

Sawaal kaise karu ab tujhse
Door kitna hochuka tu ab mujhse...
Na milenge kabhi koi jawaab
Phirbhi kyun sun ne ke liye rehta hai ek khwab.




Friday 25 September 2009

Ankahee baat kuch aaj hum kehgaye
Dil mein chupe jazbaat apne aap beh gaye
Paaya shayad kuch na in lamhon mein
Magar dil ko chain milta hai ...
Bass unn lamhon ko yaad karne mein

Sunday 9 August 2009

Yeh Dooriyan

Yeh doorian
Yeh doorian

Yeh doorian
In raho ki doorian
Nigahon ki doorian
Humraho ki doorian
Fanna ho sabhi doorian

Kyun koi paas hai, door hai
Kyun koi jaane na ,
koi yahan pe
Aa raha paas ya door mein
Ja raha janoo na mein hu kahan pe

Yeh doorian
In raho ki doorian
Nigahon ki doorian
Humraho ki doorian
Fanna ho sabhi doorian
Yeh doorian
Yeh doorian Yeh doorian…aaaa.….

Kabhi hua yeh bhi, khali rahon pe bhi
Tu tha mere saath ,
Kabhi tujhe milke, lauta mere dil yeh
Khali khali haath Yeh bhi huwa kabhi,
jaise huwa abhi Tujko sabhi mein paa liya

Tera mujhe kar jathi hai doorian
Satati hai doorian
Tarsathi hai doorian
Fanna ho sabhi doorian

Kaha bhi na main ne, nahin jeena main ne
Tu jo na mila Tujhe bhule se bhi,
bola na mein yeh bhi Chahu fasala
Bas fasala rahe banke kasak jo kahe
Ho aur chahat yeh jawan

Teri meri mit jani hai doorian
Begani hai doorian
Hat jani hai doorian
Fanna ho sabhi doorian
Kyun koi paas hai, door hai
Kyun koi jaane na , koi yahan pe
Aa raha paas ya door mein
Ja raha janoo na mein hu kahan pe

Yeh doorian
In raho ki doorian
Nigahon ki doorian
Humraho ki doorian
Fanna ho sabhi doorian
Yeh doorian yeh doorian yeh doorian…
Movie:Love Aaj Kal
Director:Imtiaz Ali
Composer:Pritam
Singer:Mohit Chauhan
Lyrics:Irshad
Pic courtsey:FMS


Sunday 14 June 2009

Najane Kaun



Badli.. badli si hai kyun ye fiza
Khafa.. khafa sa kyun hai ye mausam
Hone laga kya ab yahaan
Pyaar hi pyar tha jahaan

Khoon ka rang har jagah
Nafrat ki aag har dil mein
Ek duje se aisa bhi kya gila
Ladd ke kisi ko kabhi kya mila

Ye ladai shuru hui kyun
Khatam karta kyun nahi koi
Dard hota hai dekh kar ye sab
Bacha le iss desh ko ae mere rab

Khush hai ye sab dekhar Najane Kaun
Nafrat peda kar raha hai Najane kaun
Desh ko barbaad kar raha hai Najane Kaun.
Hum sab ko mita ne laga
Najane Kaun...

I can go on about this topic.But its always too heartbreaking & very very controversial.So i leave it here :)
All we can do is pray for peace.

Wednesday 10 June 2009

Saaya

Door hogaye kab ke hum
Phir bhi tujhe mehsoos karte hai hum
Najane kahan chupe ho...
Phir bhi teri aahat mehsoos karte hai hum

Jaane kaisa khel hai ye
Na tum mere ho,
Na main tumhari
Phir bhi ...kuch hai hamara

Tera naam sunte hai..
Toh dil mein ek ahat si hoti hai
Tujhe najane kyun dhoondte hai
Dhoond kar phir bhool jaate hai

Teri chaukhat pe mila tha sirf dard
Paar ki thi tune bewafai ki har hadd
Toda iss qadar mera dil
Rehgaye tere dard ke nishaan

Har qadam teri raah mein dhoka paaya
Phir bhi najane kyun rehta hai mere sang
Tera hi Saaya.....

Related Posts Widget for Blogs by LinkWithin
 
template by suckmylolly.com flower brushes by gvalkyrie.deviantart.com