
Hasi ke peeche hazaaron aansoo chupa te chale
Dil mein ghum ka dariya sambhaalte huey
Na koi raasta...Na koi manzil
Hogaya kitna paraya apna hi dil
Umeed ki thi maine khushiyon ki
Ab toh woh kashtiyan bhi doob chuki hai
Har koi lagne laga hai paraya
Mujhse juda hochuka mera hi saaya
Darte hai hum khwabon se
Kahin phirse umeed na laga bhete apno se
Ab toh tanhayi hi apni mehfil hai
Ye soch ke har pal ko jiye jaa rahe hai
This is very close to me,Because it's the first ever hindi poem i wrote (when i was 17) & it's also the first poem in my poetry book Najane Kyun which consists of 107 poems by me. :)





